Tags

, , , , , , , , , , , , , , ,

By Gulwish Hina
Wo sunta to main kehta, mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata, mujhe kuch aur kehna tha.

kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha, mujhe kuch aur kehna tha.

kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna, mujhe kuch aur kehna tha.

meray dil main jo dar aya, koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota, mujhe kuch aur kehna tha.

rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha, mujhe kuch aur kehna tha.

ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha, wo kuch samjha, mujhe kuch aur kehna tha